Chahut kay subah shaam, mohabat kay raat din

Chahut kay subah shaam, mohabat kay raat din
dil dhoonta hay phir wahi fursat kay raat din

woh shoq-e-bay panah main alfaaz ki talaash
izhaar ki zabaan main luknat kay raat din

woh ibtida-e–ishq woh aaghaaz-e-shaairi
woh dasht-e-jaa main pehli musaafat kay raat din

meer-o-anees-o-ghalib-o-iqbal say alag
rashid, nadeem, faiz say rughbat kay raat din

woh subah-o-shaam-e-darbadri hamsunoo kay saath
aawaarfi-o-sair-o-siaahat kay raat din

ik raazdaar-e-khaas ko har waqt dhoondna
bay aytbaario main zuroorat kay raat din

bay waja apnay aap ko har waqt kosna
baysood har kisi say shikaayut kay raat din

nadaa hain woh kay jin ko hay gumnaamio ka ranj
ham ko to raas naa aaey shorat kay raat din