Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
Shaoor-e-Aagahi Ek Almiaa Hai
Ise Neelaam Karna Chahti Hun
Mein Apni Umer Ke Saaray Asaasay
Tumhaaray Naam Karna Chahti Hun
Tumharay Khaima-e-Khushbuu Mein Reh Kar
Mein Subaah-o-Shaam Karna Chahti Hun
Charaaghon Se Hawaa Ki Dushmani Hai
Ise Naakaam Karna Chahti Hun
Re: Chahti Hoon..
Har kisi k Naseeb me kahan likhi hain Chahtein,
Kuch Log Duniya me atae hain Faqat Tanhaiyun k Liye…
Re: Chahti Hoon..
Bataaon tumhe kahaani udaas logon ki,
Kabhi ghaur karna yeh hanstey bohat hain..
Re: Chahti Hoon..
hae,,, good one yar,,,, kuch sher lagta he appney lie hi banne hote hey :P lolz
hmmm
dil tor`te bhi ho, hamme chahte bhi ho
hum ab tak samajh na paye ye andaz-e-muhabbat
Re: Chahti Hoon..
Hota hai.. aksar shair apko kaafi suit karty hoty hain.. 
Mohabbat is liye bhi munfrid hai sab khelon se,
Jo haara phir nahin khela, jo jeeta usne tauba ki..
Re: Chahti Hoon..
Mohabbat ke baad mohabbat mumkin hai ...
Magar toot ke chahna sirf ek baar hota hai.... !!
Re: Chahti Hoon..
Kon deta hai mohabbat ko ibadat ka muqaam,
Yeh tum insaaf se socho to duaa do hum ko..!!!
Diva
8
Re: Chahti Hoon..
Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun
My father used to say: Aaram sirf qabar mein milta hai.
Zindagi aik jehd e musalsal kay siva kuch nahin.
Re: Chahti Hoon..
Bohat Aaraam Karna Chahti Hun
Yehi Ek Kaam Karna Chahti Hun

Diva
11
Re: Chahti Hoon..
Utth jao meri munni meri sleeping beauty pooray bara ghantey tou sou li ho?
Re: Chahti Hoon..
ap kahti hain to uth jati hoon 