chahatoin k mausam may
zakham jo bhi lag ja’a
umer bher nahi silta
tum ney sun lia ho ga
sheher ki hawaaoin say
wo jo ik deewana
aatey jatey rahi ko
raastoin pay milta tha
ab kahein nahi milta…!
mohabat aesa derya hai
k baarish rooth bhi ja a
to pani kum nahi hota!
Muraadon ki manzil ke sapnon mein khoye
Muhabbat ki rahon pe ham chal pade
Zaraa duur chal kar jab aankhein khulee to
Kaddi dhuup mein hum akele khade the
“baarishon kay mausam main
log kitnay yaad aa-ay
aasmaan bheega tha
raastay yay kehtay thay
khushboo-on kaa saya tha
roshni ka maila tha
-dil magar akaila tha…”
Kay hum tu Dhoop main baarishh kay woh qatray hain jo gir ker, dar-o-deevar per hi sookh jaatay hain…