‘Ussay’ yeh bahut pasand huwa karti thee…
**
Chahat mein kya duniyadari ishq mein kaisi majboori
Logon ka kya samjhane do in ki apni majboori
Maine dil ki baat rakhi aur tu ne duniya walon ki
Meri arz bhi majboori thi un ka hukm bhi majboori
Rok sako to pehle baarish ki boondon ko tum roko
Kachi mitti to mehke gi hai mitti ki majboori
Zaat kade mein pehron baatein aur milein to mohr balab
Jabre waqt ne bakhshi hum ko ab ke kaisi majboori
Jab tak hasta gata mausam apna hai sab apne hain
Waqt pade to yaad aa jati hai masnooi majboori
Muddat guzri aaj bhi ek waade par qaim hain mohsin
Hum ne sari umar nibhaye apni pehli majboori **
-Mohsin bhopali