Chaha to Bahut Tha :(

Chaha tu bohat tha lekin wo mila hi nahi
Lakh kohsish ki mager yah fasla mita hi nahi…
Na janay zamanay nay mujboor is qader ker diya
Kay wo meri kisi sada pay thera hi nahi…
Mein tamam ter kohsishoo kay bawajoud har gai
Wo usay mil gaya jis nay is ko manga hi nahi…
Her ek say poocha teray na milnay ka sabub
Her ek nay kaha wo tery liye bana hi nahi…
Itni shiddut say chaha tha us ko
Is duniya may shayed wafa ka sila hi nahi