Sajna Re
Tere Bin Jia Mora Naahi Lagay
Kaato’n Kese Tere Bin Beri Raina
Palkon Ne Birha Ka Gehna Pehna
Nind’ya Kaahay Aisi Ankhion Main Aye
Sajna Re
Boondo’n Ki Paayal Baji, Suni Kisi Ne Bhi Nahin,
Khud Se Kahi Jo Kahi, Kahi Kisi Se Bhi Nahin
Bheegnay Ko Mann Tarsay Ga Kab Tak
Chaandni Main Aansu Chamkay Ga Kab Tak
Saawan Aaya, Na He Barsay Na He Jaye
Nind’ya Kaahay Aisi Ankhion Main Aye
Tere Bin Jia Mora Naahi Lagay
Sajna Re
Sargam Chiri Pyaar Ki, Khilnay Lagi Phir Gunn’kali
Khushbu Se Perr Maang Ker, Urr Chali Hoon Pee Ki Gali
Aanch Gholay Meri Saanson Main Pur’waa
Dol Dol Jaye Re Pal Pal Manwaa
Rab Janay, Ke Ye Sapnay Hain Ya Hain Saaye
Nind’ya Kaahay Aisi Ankhion Main Aye
Tere Bin Jia Mora Naahi Lagay
Sajna Re