ChaaNdni December Ki...

Raat us nay poocha tha
Tum ko kesi lagti hai
Chandni december ki ???
Main nay kehna chaha…
Saal-o-mah kay baray main
Guftagu kay kia ma’ni
Chahay koi manzar ho
Dasht ho, Samandar ho…
June ho, December ho…
Dharkanon ka har manzar…
Manzron pe bhaari hai!
Saath jab Tumhara ho…
Dil ko ik Sahara ho
Aisa lagta hai jaisay…
Ik Nasha sa tari ho
Lekin uski qurbat mai…
Kuch nahin kaha Main nay!!
Takti reh gae mujhko… …
CHANDNI DECEMBER KI……
----------:flower1:-----------