**Chaand tum ho boahat he awara
kitni raatain nazar nahi aatay
phirtay rehtay ho jaa bajaa yunhee
par kabhi meray ghir nahi aatay
chaand tum door door rehtay ho
chaand tum say shikayatain hain bohat
kis muhabbat main zakham khaey hain
dil pay itnay jo daagh rakhtay ho
ye kahani kabhi sunatay nahi
asmaan par dmaagh rakhaty ho
chaand tum boltay nahi hum say
chaand tum say shikayatain hain bohat
chaand tum aik say nahi rehtay
shakl aur raastay badaltay ho
chaand tum raat ko tan e tanhaa
aisay waison k saath chaltay ho
haath atay nahi kisi surat
chaan tum say shikayatain hain bohat
chaand jabb bhi milay koi moqa
chuptay rehtay ho aisay chupkay say
paerr aur badilon k peechay tum
husn ghat’ta ho jaisay daikhay say
haath atay nahi kisi surat
chaand tum say shikayatain hain bohat
meri aankhon main kya kami hai jo?
jheel main daikhtay ho akks apna
aainay main utaar kar tumko
koi tabeer karna hai sapna
khwaab kya hain ye jaantay he nahi…
chaand tum say shikayatain hain bohat
roshni musta’aar hai phir bhi
janay kis baat ki barraai hai
hum say miltay ho ajnabi ki trah
jabb k bachpann say aashnaayi hai
chaand tum say gilaa nahi koi
chaand tum ssay shikayataina hain bohat…
**