Chaand sooraj aur taaray ajnabi
Ik musaafir, sub nazaaray ajnabi
Mo’jaza hay gardish-e-halaat ka
Sheh’r apna, log saaray ajnabi
Ajnabiyyat ka ta’alluq khoob hay
Hum tumhaaray tum hamaaray ajnabi
Jaan kay dushman hamaaray aashna
Aur aashna saaray kay saaray ajnabi
Wo jisay hum nay kabhi pehchan di
Aaj wo hum ko pukaaray ajnabi
LP
2
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
living it :(
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
Wo jisay hum nay kabhi pehchan di
Aaj wo hum ko pukaaray ajnabi
very Nice :k:
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
Jaan kay dushman hamaaray aashna
Aur aashna saaray kay saaray ajnabi
aashna na huwe shareeke ho gaye.
jiia
5
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
song ajnabi mere ajnabi
muqa:smash: up load kia jaey
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
you mean ajnabi mere ajnabi from ‘Main Prem ki deewani hoon’ 
jiia
7
Re: Chaand sooraj aur taaray ajnabi
hunon