chaand say aankh mili ji ka ujaala jaaga

apnay ham-raah jo aatay ho idhar say pehlay
dasht paRtaa hai miyaaN ishq maiN ghar say pehlay

chal diye uTh ke suu-e-shehr-e-wafaa ku-e-habib
poochh lenaa tha kisi Khaak basar say pehlay

ishq pehlay bhi kiyaa hijr kaa Gham bhi dekhaa
itnay taRpay haiN na ghabraaye na tarsay pehlay

ji bahaltaa hi nahiN ab koi sa’at koi pal
raat Dhalti hi nahiN chaar pahar say pehlay

hum kisi dar pay na ThaThakay na kahiN dastak di
saikaRoN dar thay meri jaaN teray dar say pehlay

chaaNd say aaNkh mili ji ka ujaalaa jaagaa
hum ko sau baar hui subah sahar say pehlay

Re: chaand say aankh mili ji ka ujaala jaaga

buhat khoub g

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker..

Bay-Naam Say Sapnay Daikha Ker
Aye Dil Her Ja Na Phisla Ker

Yah Dais Hai Andhay Logoon Ka
Aye Chaand Yahan Na Nikla Ker

Na Dartay Hain Na Naa-dim Hain
Na Maanain K woh Khaadim Hain

Yahan Ulti Ganga Behti Hai
Is Dais Main Andhay Haakim Hain

Re: chaand say aankh mili ji ka ujaala jaaga

Good One :k:

Re: chaand say aankh mili ji ka ujaala jaaga

Bohat khoob