chaand or sooraj

ik dil waloon ki bastee thee

jahan chaand or sooraj rehtay thay

kuch sooraj mun ka pagal tha

kuch chaand shokh or chunchal th

bastee bastee phirta thay, or her pal hunstay rehtay thay

phir ik din rooth gayee

saray supnay toot gaye

ab chaand bhi is waqt ata hay

sooraj jub so jata hay

badal shub say kehtay hain

sooraj uljha rehta hay

chaand k sath sitaaray hain

per sooraj tanha rehta hay

Re: chaand or sooraj

v nice PG thanks for sharing with us :)

Re: chaand or sooraj

Mohabbat karnay walon k beech main jab koi Raqeeb-e-ro-siah aata hay to faaslay barh jaatay hain ... mohabbat aaj tak kabhi raqeeb ko nahi mili, lekin phir bhi raqeeb yeh baat nai samjhtay ... wo har waqt do diloN k beech main faaslay paida karnay ka sabab bantay rehtay hain ...

Kabhi raqeeb ko manzil to mil jati hay, lekin mohabbat phir bhi ussay naseeb nai hoti ...

Yeh chaand sooraj kay beech main jab say zameen ayi hay, in kay darmiaan faaslay paida howay hain... lekin phir bhi mohabbbat kam nahi hoi, aaj bhi chaand ka chehra sooraj ko daikh kar hi chamakta hay :-)

Eid Gift for you all... Munjanib... Ata Khan Sahib urf Saagar Khan Hyderabadi...Pakistani... Karachi waalay... time: shaam 5:00 say 5:05 tak...

Re: chaand or sooraj

nikami > thans janab

Ata > bus app ko moqa chaeye apnay dil kay phapolay nikalnay ka bummer

Re: chaand or sooraj

JI haan main ap ki shairi aur aap kay beech ka raqeeb hoon... muhaha :-p

yeh phapolay kia hota hay btw? aisi fazool cheezain ham nai paaltay hoonh

Re: chaand or sooraj

dil walo ki basti mai chand aur sooraj kabab aur hadi thay:D

Re: chaand or sooraj

ye tajurba hey ya mushahida ? ;)

Re: chaand or sooraj

phapolay ka nahi pata ? yeh bohat hee aberdast cheez hay ..jis ka mujhay bhi nahi pata hoonh

Shab-e-hijar > nahi bhyee chaand or sooraj kee he to woh bastee thee

Re: chaand or sooraj

Nice :~)

Re: chaand or sooraj

very nice