Chaand ne baadal oorh liya tha

Chaand ne baadal oorh liya tha
Ik shab taaroN ke jhurmat se,
Chaand utar kar chatt par aaya
Haule se phir mujhse bola
HeraaN heraaN si aankhoN se
Aao mujhko barh kar chu lo
MaiN ghabraayi…kuch sharmaayi
Aur yuN boli …
Aisa kyoN kar ho sakta hai?
Uska jab israar barha tu,
Maine chaaha,
Aage barh kar usko chu loN
Lekin tab tak,
Chaand ne baadal oorh liya tha

~Fakhira Batool

Urdu link:
http://www.urdupoint.com/poetry/poem/fakhira-batool/chand-ney-baddal-1255.html

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

main phisal raha hon....

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

Then step off the ice?

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

Kyun? Chaand koh razai nahin milee thee kiya

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

butter… :snooty:

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

motay ho jao ge. Itni khush-fehmi achi nahi hoti.

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

Chaand ki razai baadal hi tu hotay hain. Itna bhi nahi pata :cb:

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

badal toh zameen kee razai hain joh woh apany ooper orh leta hai, chand toh badalon kay ooper hota hai badal uss kee razai kaisay ho gaye.

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

ye poetry hy yahan py kuch bhe ho skta hy log chand k sath bhe so skty hain :snooty:

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

Jab chaand raat ki thaali main parosa ja sakta hai, tu baadal chaand ki razai kyon nahi ho sakte? Dekhne wale ki nazar pe depend karta hai.

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

chang girhan wala chand :hehe:

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

Aage barh kar usko chu loN
Lekin tab tak,

meri aankh khul chuki thi

Re: Chaand ne baadal oorh liya tha

or sometimes aisi harkaten karte waqt thappar bhi par jata hai :hehe: us se bhi chaudan tabaq roshan ho jaate hain, hai na?