Sehn-e-zindaan key bey watan ashjaar
Sir nigoon meh’v hain bananey mein
Daaman-e-aasman pe naqsh-o-nigaar
Shana-e-baam peh damakta hai
Mehrbaan chandni ka dast-e-jameel
Khaak mein ghul gai hai aab-e-nujoom
Noor mein ghul gaya hai arsh ka neel
Sabz gaushoon mein neelgoon saaye
Lehlahatey hain jis tarha dil mein
Mauj-e-dard-e-firaaq yaad aaye
Dil se paiham khayal kehta hai
“ itni sheeren hai zindagi is pal
zulm ka zehr gholney waley
kaamran ho sakein gey aaj na kal
jalwa gah-e-wisaal ki shamaien
woh bujha bhi chukey agar tau kiya
CHAAND KO GUL KAREIN TAU HUM JAANEIN"
![]()
Faiz Ahmed Faiz