yun to dard o gham mera fav. subject hai magar es baar eik romantic koshish kii hai…aap log hii bataaeye kis hud tak success hua hooN…
chehre se apne zulf yuklakht hataaya na karo
chaand ki haNsee zameeN par uDaaya na karo
kahte haiN ke husn khud pe bhii mar jaata hai
aaine ke rubaroo bekhauff tum jaayaa na karo
abhee to pahla saal hai parde meiN raho zara
aaNgan kii dhoop meiN ab zulf sukhaaya na karo
suna hai phool bhii baDe aashiq mijaaz hote haiN
tum chaman meiN kabhee saNwar ke aaya na karo
ye to har pal lab bosii kii taak meiN rahta hai
beadab aaNchal ko etna sar chaDhaaya na karo
tumhaari naadaani ko log kuchh aur samajh lenge
har eik ko es umar meiN hamraaz banaaya na kao
pahle to bojh e shabaab se waaqif to ho lo zara
yuN jhuk ke har cheez ko ab uThaaya na karo
es shahar meiN qatl e aam baDi baat nahiN hai
apne gajre se koii kalii sar e raah giraaya na karo
raatoN kii bechainii aur bister ki silwateiN
kisi ko bhii ab ye baateiN bataaya na karo
ooske luft pe mera dum na kaheeN nikal jaaye
tum takiye ko etni zor se dabaayaa na karo
log tumheiN apnii lakeeroN meiN basaa lenge
yuN mehdii se saje haath sabko dikhaaya na karo
yahaaN sab log qayaamat kii nazar rakhte haiN
sab ke saamne mujhe pyaar se bulaaya na karo
mujhe khud pe bhii ab gurur aa jaataa hai
mujhe naaz se etna tum manaaya na karo
tumhaara aazmaana bhii ye kitna jaanleva hai
tareef e hareef kar ke mujhe sataayaa na karo
manzil e raah e ishq nahiN aasaaN meri jaan
meri nazroN meiN ye khwaab sajaaya na karo