Poora Dukh Aur Aadha Chand
Hijar Ki Shab Aur Aisa Chand
Kis Maqtal Say Guzra Ho Ga
Itna Sehma Sehma Chand
Yaadon Ki Aabaad Gali Main
Ghoom Raha Hai Tanha Chand
Mairi Ik Karwat Pay Jagay
Neend Ka Kitna Kacha Chand
Mairay Munh Ko Kis Hairat Say
Daikh Raha Hai Bhola Chand
Itnay Ghanay Badal Kay Peechay
Kitna Tanha Ho Ga Chand
Itnay Roshan Chehray Per Bhi
Soraj Ka Hai Saya Chand
Bargad Ki Ik Shaakh Hata Kar
Janay Kis Ko Jhanka Chand
Sehra Sehra Bhatak Raha Hai
Apnay Ishq Main Sacha Chand
Raat Ka Shaid Aik Baja Hai
Sota Ho Ga Maira Chand