chaahat kab badalti hay....?

**Musafir to bicharty hein,rafaqat kab badalti hay **

**mohabbat zinda rehti hai,mohabbat kab badalti hay **

tum hee ko chahtey hein,tum hee say pyar karty hein

**ye hee barsoon say adat hay aur adat kab badalti hay **

**tumhein jo yaad rakha hay ye hee apni ibadat hay **

**jo pathar pay likhi jay, ibarat kab badalti hay **

**kali ka phool banna aur bikhar jana muqadar hay **

**yehi qanoon-e-fitrat hay aur fitrat kab badalti hay **

**jo dil pay naqash kar jay aur aankon mein simat aye **

**alamat hay ye chahat ki aur chahat kab badalti hay **

**usy chaha,usy pooja,ye hee toqeer hay apni **

hamein gumrah mat samjho,ibadat kab badalti hay!!!

Beautiful Choice S-786:)

Re: chaahat kab badalti hay....?

buhat khoob..

Re: chaahat kab badalti hay....?

nice one !

Re: chaahat kab badalti hay....?

very nice S.786

Re: chaahat kab badalti hay....?

Very nice S. 786

ONE

Re: chaahat kab badalti hay....?

buhut shukriya to all dustoo

Re: chaahat kab badalti hay…?

wesey tou aadateiN badal bhi sakti heiN,
agar kisi meiN buri adat hey tou kya wuh :cb:

nice sharing :)

Re: chaahat kab badalti hay....?

umda but parhi n share ki hui :)