though not a big deal! :)
Pakistan main kitna aacha system hay, kay priamry schools main wo daily yeh purtay hain aur buchoon ka zubaani yaad ho jaati hay, phir jub wo buchay baaray ho jaatay hain tu unhain iss ka exact meaning sumagh aata hay tu ansooon ka ankhoonmain aana natural hay....anyhow just reading it tu i thought kay 100th post why not this one!
**********************
lab pe aatii hai duaa banake tamannaa merii
zindagii shammaa kii surat ho Khudaayaa merii
duur duniyaa kaa mere dam a.Ndheraa no jaaye
har jagah mere chamakane se ujaalaa ho jaaye
ho mere dam se yuu.N hii mere watan kii ziinat
jis tarah phuul se hotii hai chaman kii ziinat
zindagii ho merii parawaane kii surat yaa rab
ilm kii shammaa se ho mujhako mohabbat yaa rab
ho meraa kaam Gariibo.n kii himaayat karanaa
dard-ma.ndo.n se zaiifo.n se mohabbat karanaa
mere allaah buraaii se bachaanaa mujhako
nek jo raah ho us raah pe chalaanaa mujhako
mubarkan Amjad bahi ap ne 3 month main itni taraqi ki k 100 posting ho gaye........asiay he hcaltey rahya tu one year main 1000n ho he jain ghi..well done ...;)
you are right.....since we read this at an early age so we fail to grasp its true significance and when we grow up we think we already know what it means though we dont:)
WELCOME:flower1:BACK Amjad bhai and Congratulations for the Century…wesey hamaari cricket team ke jo haalaat heiN, aap hi join kar leiN usey…kam-az-kam koi century-maker to miley ga na
Amal , yaar cricket ka plz plz naam na lo, bahut insult kuraai hay iss team nay tu..... ajeeb sitution hay kay hunsi bhi aati hay aur roona bhi aata hay at same time, aysay lugta hay jaysay koi khawab ho, 59/10 aur wahhh phir 53/ 10..... may be now 47/10 in next match :D ....wo Shane Warn aur Magra hain na udher tu u never know main bhi baqi players jaysa who are nowdays not in double figures mostly ;)
CC , Aami abu ko kahoo kay apna zamana yaad kurain when they use to go to priamry schools ;)