Hi Guys
I was wondering if anyine could complete this
Khushbo k jazeeron say sitaroon k nagar tak
Es Shehar main sub kuch hay faqat teri kami hay

Re: Can anyone complete this
[quote=saroo]

[quote= Lutfullah urf Abdullateef]
Maa'zallah! Kya mutaalba hai! Mukammal sher pesh kar ke hukm dete hain keh isko mukammal karo! Kis ko mukammal karoon Huzoor e Aala? Aur lafz "complete" se muraad agar yeh hai keh is tarah par is zameen par aur isi radeef aur qawaaif par koi aur ghazal tasneef ki jaae to baat aur hai.
Magar **Angrezi ibaarat "Hi Guys I was wondering if any one could complete this" se mujh Urdu bolne aur likhne waale ke palle kuchh bhi naheen parta hai! Aur naa hi koi mutaalba saaf zaahir hota hai!**
Urdu ki mehfil main aakar English ki numaaish na karein to behatar!
*Jazaakallahu Min Khairuhu!:( *
Re: Can anyone complete this
Khushbo k jazeeron say sitaroon k nagar tak
Es Shehar main sub kuch hay faqat teri kami hay
aja k abhi yaad ka mausam nahi guzar
aja k paharon pay abhi berf jami hai
khusboo k jazeero'n say sitaron ki hadon tak
is shehar mai sab kuch hai bas ik teri kami hai
Re: Can anyone complete this
Buihat Khoub Saroo & Rabia mujhay umeed thi kah aap he pori ghazal nikal kar lay aain gee .... leekan mujhay pata naheen aaj ganoon kay bool yaad aa rahay hain ...jaisay
Aaja Tujh Ko Pukarain Meray Meet Ray .... Ho Meray Meet Ray
Bhai Lutufullah saheeh farmaya aap nay hazoor .......
......
Re: Can anyone complete this
[quote= Lutfullah urf Abdullateef]
Maa'zallah! Kya mutaalba hai! Mukammal sher pesh kar ke hukm dete hain keh isko mukammal karo! Kis ko mukammal karoon Huzoor e Aala? Aur lafz "complete" se muraad agar yeh hai keh is tarah par is zameen par aur isi radeef aur qawaaif par koi aur ghazal tasneef ki jaae to baat aur hai.
Magar **Angrezi ibaarat "Hi Guys I was wondering if any one could complete this" se mujh Urdu bolne aur likhne waale ke palle kuchh bhi naheen parta hai! Aur naa hi koi mutaalba saaf zaahir hota hai!**
Urdu ki mehfil main aakar English ki numaaish na karein to behatar!
*Jazaakallahu Min Khairuhu!:( *
Saain ghoori chaan talay badhoo............Lagtaa hay aap ko bohat zooor ki urdu aaye thi........Umeed hay k es ikhraaj k baad kuch iffaqa ho ga.
Re: Can anyone complete this
Thanks Rabia...............Is this all or is it part of a proper gazal