laa_ee hayaat aaye qazaa lay chalii chalay
apnii Khushii na aaye na apnii khushii chalay
[qaza=death]
behatar to hai yahii kay na duniyaa say dil lagay
par kyaa karein jo kaam na bedillagii chalay
duniyaa ne kis ka raah-e-fanaa mein diyaa hai saath
tum bhii chalay chalo yuuN he jab tuk chalii chalay
[fanaa=cessation of life, end]
kam hongay is bisaat pe ham jaisay bad_qimaar
jo chaal ham chalay woh nihaayat burii chalay
jaatay hawaa-e-shauq mein hain is chaman say ‘Zauq’
apanii balaa say baad-e-sabaa ubb kabhi chalay