**salaam,
aapkii pesh kardah Ghazal nazar navaaz huii...bunyaadii taur par yeh Ghazal laaiq e dada o taHseen hai magar chuN k mujhe 'ilm nahiiN k yeh Ghazal kis shaa'ir kii taKhleeq hai magar andaazah hotaa k kisii ustaad shaa'ir kii nahiiN hai. is Ghazal ke islsile se chand ek baateN 'arz karne kii ijaazat chaahuuNgaa:
-awwalan to yeh k is Ghazal kii bahr Khaasii taveel hai jiske saath shaa'ir ne bharpoor insaaf nahiiN kiyaa hai...jaa ba jaa bahr kaa masalah darpesh hai. isii liye ustaadoN ne farmaayaa hai k chhoTii bahr meN Ghazal goyii aasaan nisbatan aasaan hotii hai
-is Ghazal meN matl'a aur maqt'a donoN hii Ghaayab haiN. wa(A)llah 'aalam k shaa'ir ne Ghazal ke in zaroorii 'anaasir ko zaroorii nahiiN samjhaa yaa kaatib se sahvan aisaa huaa.
-ash'aar meN jaa ba jaa izaafii alfaaz maujood haiN jo she'r ko Khaarij-az-baHr kar dete haiN so in aGhlaat [jsikii nishaan-dehii amiN ne laal raushnaaii se kar dii hai] kii tas'HeeH farmaa lijiiye, shukria.
** kaha tha na meiN ney ke kal hum jo bichrey, to yeh sab adaaeiN sataya kareiN gi
bhala kya khabar thi yehi pyari baateiN, kabhi dil ko khooN bhi rulaaya kareiN gi
kahaa jab bhi us sey darakhtoN pe aesey, Khudara koi bhii nishaani na chorro
wo kehta tha aksar chalo is bahaaney, tumheN merii yaadeN to** aaya kareiN gi**
teri hi zubaaN ke ye gul the na dil'bar, kabhi jo bahaaroN ney mooN tujh sey morra
**
is misr'e meN zabaan o bayaan aur sarf o nahv kii bahooot KhaamiyaaN aur kamiyaaN haiN jise Theek karne se bahtar hai k shaa'ir koii dusraa misr'a kahe**.
hamaari mohabbat ki maasoom kalyaaN, terey dil ka gulshan sajaaya kareiN gi
**
tabasum si nazmeiN taranum si ghazleiN, terey sath mil karjo**** likhtey raheiN ge
yahaN "tabassum sii nazmeN" aur "tarannum sii nazmeN" kii tarkeeb-e-iste'maalii qawaa'id e zabaan kii roo se saHeeH nahiiN haiN. agar "mutabassim sii nazmeN" aur "mutarannim sii nazmeN" hotaa to koii muzaa'iqa na hotaa...neez, lafz-e-"nazmeN" kaa do baar iste'maal takrara e lafzii ke zumur meN aataa hai jise ustaad e fanoon Ghazal-goyii kaa ek noqs qaraar dete haiN. un meN se ek ba-aasaanii "GhazleN" kah sakte the :)**
**
ye bhi tera hi bayaaN tha na jaanam, ke kabhi jo andheroN ney tujhey aan ghera
to hamaari nigaaheiN terey raastoN par, sitaaroN ki shammeiN jalaaya kareiN gi**
**
is she'r meN hoo-ba-hoo vohii noqs hai jo she'r number 4 meN darpesh aa chukaa hai...lihaaza, us she'r par meraa tabsiraa mulaaHiza farmaayeN...shukria****
fiza ke laboN pe ab bhi rawaaN heiN, teri saari qasmeiN, terey saarey waadey
mujhey kya pata tha terey baad hum'dum, hawaeiN terey lafz dohraya kareiN gi**
**
yeh she'r vazan aur bahr ke Hawaale se giraa huaa hai aur zabaan o bayaan kaa bhii masalah dar-pesh hai**
**
khaab har dikhaya magar ye na bataaya, ke kya loat kar tu aa bhi sakey ga
kabhi jo muraadoN ki pareshaN duwaaeiN, tujhey do gharri ko bulaaya kareiN gi****
ek baar phir is she'r meN bahr, vazan, zabaan kaa masla hai hii us ke hamraah misro'N meN ham-aahangii nahiiN...goyaa, misr'e be-rabt haiN
faqat Khaak-nashiiN
_______KKF**
Kabhi muskuraana kabhi rootth jaana, kabhi dil lubhaana kabhi dil jalaana
kaha tha na meiN ney ke kal hum jo bichrey, to yehi sab adaaeiN sataya kareiN gi
haathoN pe aksar mera naam likh kar, laboN sey mohabbat ki mohreiN lagaana
bhala kya khabar thi ke yehi pyari baateiN, kabhi dil ko khooN bhi rulaaya kareiN gi
kahaa jab bhi us sey ke darakhtoN pe aesey, Khudara koi apni nishaani na chorro
wo kehta tha aksar chalo is bahaaney, tumhey yaadeiN to hamaari aaya kareiN gi
teri hi zubaaN ke ye gul the na dil'bar, kabhi jo bahaaroN ney mooN tujh sey morra
to hamaari mohabbat ki maasoom kalyaaN, terey dil ka gulshan sajaaya kareiN gi
tabasum si nazmeiN taranum si ghazleiN, terey sath mil kar jo likhtey raheiN ge
diloN ki dhunoN pe mohabat ke naghmey, sada dharkaneiN gungunaya kareiN gi
ye bhi tera hi bayaaN tha na jaanam, ke kabhi jo andheroN ney tujhey aan ghera
to hamaari nigaaheiN terey raastoN par, sitaaroN ki shammeiN jalaaya kareiN gi
fiza ke laboN pe ab bhi rawaaN heiN, teri saari qasmeiN, terey saarey waadey
mujhey kya pata tha terey baad hum'dum, hawaeiN terey lafz dohraya kareiN gi
khaab har dikhaya magar ye na bataaya, ke kya loat kar tu aa bhi sakey ga
kabhi jo muraadoN ki pareshaN duwaaeiN, tujhey do gharri ko bulaaya kareiN gi