donno if this’s been posted before but any way its a good one and need to be told in urdu. lol so..
Aik Butt sahab hotel mein bohat saara khaana aagay rakh ker kha rahe the. Saath wali table per aik circus ka maalik betha Butt sahab ko hairaangi se dekh or soch raha tha ke aik akaila banda itna ziada khana aik time mein kaisay khaa sakta hai. Khaanay ke baad circus owner ko idea aaya or uss ne Butt sahab ko utna hi khaana apnay circus mein kha ker dikhanay ke liye 500 rupay mein razamand ker liya.
Circus mein Butt sahab ke khaanay ka segment itna hit gaya ke circus owner ne Butt sahab ko 2nd show (right after 1st one) ke liye 1000 rupay mein phir mana liya. Iss dafa bhi logon ka utna hi joshokharosh tha or ye sab se kaamyab segment tha. Circus owner ne Butt ko 3rd show (right after 2nd one) ke liye 2000 ki offer ki. Butt sahab uktaa ker bolay “Yaar mein yahan circus mein kaam hi kerta jaoon? … abhi mujhe ghar jaa ker roti bhi khaani hai” ![]()