Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

Nigah-e-faqr main shaan-e-sikandari kya hai?
Khiraaj ki jo gada ho, wo qaiseri kya hai?

Falaq nay ki hai ata un ko khaajgi kay jinhain

 Khabar nahin rawish-e-banda parwari kya hai?

Kissey nahin hai tamanna-e-sarwari lekin

 Khudi ki mout ho jis main, wo sarwari kya hai?

Faqat Nigah se hota hai Faisla dil ka
Na ho Nigah mein shokhi, to dilbari kya hai

Buton say tujh ko umeedain, Khuda say no meedi

 Mujhey bata tou sahi aur kaafri kya hai?

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

nice sharing

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

@STA

:hmmm: lagta hai ye wala kalam aap ko samajh agaya.

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

Nice One

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

Nice....**

Faqat Nigah se hota hai Faisla dil ka
Na ho Nigah mein shokhi, to dilbari kya hai**

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

beautiful

Re: Buton say tujh ko umeedain, Khuda say nomeedi

:lajawab: