Bund Dareechay, Sooni Galiyaan.......

Bund Dareechay Sooni Galiyaan, Un Janay Log
Kis Nagri Main Aa Niklay Hain Sajid Hum Dewanay Log

Aik Humi Na Waqif Tehray Roop Nagar Key Galiyoon Say
Bhaid Badal Kar Milnay Walay Sub Jaanay Pehchanay Log

Din Koo Raat Kahain Soo Barhaq, Subah Koo Sham Kahain Soo Khub
Aap Key Baat Ka Kehna Hee Kiya App Howay Farzanay Log


Meiji