meherbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gayaa waqt nahiiN huuN ki phir aa bhii na sakuuN.
Re: Bulaa lo mujhe
Nice :k:
Kabhi Kabhi bulane wala bula kar apni qadr kho deta hai, kiyunke kuch logon ko jab muhabbat di jae to wo sir pe chadh jate hain
Re: Bulaa lo mujhe
Nice Sharing........
Re: Bulaa lo mujhe
Wah Nice !!
Re: Bulaa lo mujhe
nice
Re: Bulaa lo mujhe
wo to theek hai, leken zayda masla tab hota hai jb koe bulaa kr ghar se ghaib ho jaye
p
Re: Bulaa lo mujhe
aisa to qarz daar karte hain :p
Re: Bulaa lo mujhe
aisa to qarz daar karte hain :p
Tujh se darkaar mohabat hai mohabat k evaz
Main nahi chahta k tujh pe mera ehsaan(aqarz) rahay
Re: Bulaa lo mujhe
nicee:k:
Re: Bulaa lo mujhe
meherbaaN ho ke bulaa lo mujhe chaaho jis waqt
maiN gayaa waqt nahiiN huuN ki phir aa bhii na sakuuN.
waah...zabardast...Ghalib ke to kahne hii kia...isii liye to sabhii unheN 'chachaa Ghalib' kahte haiN:
btw, aapkii aur merii roman trans-literation scheme ek jaisii hii hai...bas, ek farq hai:
maiN lafz-e-"meherbaaN" ko "mehrbaaN" likhtaa kiuN k Hauroof-e-"chhoTii he" aur "re' ke maa-bai'n ZER nahiiN hai...aur...Harf-e-RE saakin hai. :)

wesay roman likhnay k koe asool waza nai huway, i think so.