I dont know who wrote this poem, magar jiss tarah type ki gaee hay wazan per nahi baith'tee, iss liyay sahi tarah say (wazan bana kar) type kar raha hoon. Kyon keh mujhay sher parhnay ka maza nahi aata agar wazan main naa ho to.
Bujha diya hai khud apney haathon mohabbatoon ka diya jala key
teri wafaa ney aujhar di hein umeed ki bastiyan basa key
Tujhey bhula dein gay apney dil sey yeh faisla tau kiya hai lekin
na dil ko maloom hai na hum ko, keh jieyen kesey tujhe bhula key
Kabhi milo gaye jo raastey main tau ham palat kar munh phair lengey
kaheen sunain gay jo naam tera tau chup rahengey nazar jhuka key
Na sochney per bhi sochta hun ke zindagi mein kya bach rahega
teri tamanna ko' dafna ker terey khayaalon sey duur ja key.