**Aatay jatay hoye logo’n pay nazar kia rakhna,
Lut chuka sheher, Fasilo’n ki khabar kia rakhna.
Bujh gai aankh tou ik aadh kiran ki khatir,
Chat mei’n soorakh tou deewar mei’n dar kia rakhna…
Aaina zad mei’n ager ha tou chatkhnay day usay,
Dil mei’n ehsaas-e-kaf-e-aaina ger kia rakhna…
Soorat-e-moj-e-hawa jin ko b…ikher jana ho,
Aisay ilfaz pay bunyad-e-hunar kia rakhna…
Ab yahi ashk ghanimat hai’n tas’ali k liye,
Hijar ki rat say um’meed-e-sehar kia rakhna…
Mausam-e-jashan-e-junoo’n ajar talab ha ab k,
Dil mei’n ehsas-e-zaya’n, dosh pay sir kia rakhna..
Seel-e-khoo’n ab k boht taiz ha MOHSIN mere,
Sheher ka sheher gaya, ghar ki khabar kia rakhna…!**
AH Sannan Bhai K Naam