Buhat bawafa ho tum

***Aansu jo beh rahey hein inhein behney do
Yeh keh rahey hein dil ki baat, kehney do

Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

Tum ney to keh dala sab haal-e-dil apna
Ab mujh ko apni daastaan bhi kehney do

Mar gaye auroon kay liye main
Tum apni khatir ham ko Zinda rehney do***

Re: Buhat bawafa ho tum

***Mila to kia mila tumhein chahney kay baad
Bas dukh hi seh rahein hein, hamein sehney do

:( lagta hai mehbooba bivi bun gai


**Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

**

Maine yeu shair parha tha it was '

Buhat bawafa hain hum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

Mehbooba biwi ban jati hai tou Kia houta hai? :hmmm:

Re: Buhat bawafa ho tum

suna hai phir wo sirf bivi bun jati hai

Thanks for INFO .

Re: Buhat bawafa ho tum

maine suna hai aisa. Exceptions do exist

Re: Buhat bawafa ho tum

maybe I'm in a crappy mood but I really like it.

Yeh 4th thread hai jahan app yeh Kehna chah rahey hain ke shadi ke bad Mehbooba, biwi ban jati hai sirf biwi rehti hai, they live happy kitabo Mai houta hai,and waghaira waghaira.

Tou theek hai Banda shadi Kare hi na :hmmm:

Re: Buhat bawafa ho tum

din raat mein badal jata hai

Re: Buhat bawafa ho tum

I didn’t know ke FBI ke agents mere peeche hain :cb:

Re: Buhat bawafa ho tum

dil se aai hai :hehe:

Re: Buhat bawafa ho tum

Acha hai na Takay apke dil Ki bat unhe pata chale.

Aur apke bhi dil se aae hai wo awaz .

Re: Buhat bawafa ho tum

khabardar.. don't have like phapha kutni

Buhat bawafa ho tum

Im not! Jisko parhna hoga perh lia hoga, apki baton se Jo Jo nateeja akhaz karna hoga wo bhi kar lia hoga.

Mai zara ab popcorn aur pepsi leke aae :khumar:

Re: Buhat bawafa ho tum

:omg:

***Buhat bawafa ho tum, yeh ham ko hai maloom
Tum apni wafa ki baat, apney tak hi rehney do!

:k:***