Brand Consciousness - status symbol

Re: Brand Consciousness - status symbol

mujhe ek Haqeeqii waaq’iya yaad aa gayaa jo kisii buzurg hastii se mansoob hai jinkaa naam mujhe abhii fil-waqt yaad nahiiN…waaqi’ya kuchh yuN thaa k mausoof ek ameer-e-shahr ke beTe ke waleeme meN gaye to baahar kisii darbaan ne unheN maile kuchaile puraane kapRoN meN dekh kar rok liyaa…us ne kahaa k aap munaasib kapRe pahen kar aayeN yeh ameer-e-shahr ke farzand-e-atjumand kaa waleema hai…

…kuchh der ke ba’d vo nihaayat hii aalaa malboosaat meN lipTe huye vaapas tashreef le aaye aur dastar Khowaan pe baiTh kar apnii sherwaanii ko shorbe meN Dibone lage aur saath sath kahte jaate…“khaa, tu khaa, tujhe hii mada’oo kiyaa gaya ahai so tu khaa, aur khaa!” … is par log Hairaan aur parishaan ho gaye k yeh maajraa kia hai tab mausoof ne saarii daastaan bayaan kii aur farmaayaa k:

“aajkal insaan kii uskii zaat se nahiiN bal k uske malboosaat se pahchaanaa jaane lagaa hai…baRe afsos kaa maqaaam hai!”