bosay ka jab sawaal kiya, moonh bana liya…![]()
matlab ke, apnay yaar ho, bas azmaa liya…
saahab shab-e-misaal hay, kuch to jawaab do,
sharma ke, yoon dupattay say,
moonh chupa liya…![]()
maashooq, to hotay hain kabootar ki nasal main,
aaj, mairee baghal main, to kal uski baghal main…![]()
karay charaye huay, paainchay uthaaye huay,
gaaon say aayi tum, paseenay main nahaaye huay…
pani nahi maanga..
aray paani nahi maanga, jisay maara hay nazar say…
zara marnay waalon ki himmat to dekho..
janaazay ke peechay baraat kar li ..
mairay ilaawa bhari bazm main,
idhar baat kar li, udhar baat kar li,
nazar nay, nazar say, mulaaqat kar li,
rahay donon khamosh, aur baat kar li!
zulf bardosht, agar koee haseena aaye,
raqs karta hua saawan ka maheena aaye,
husun, wo garam haqeeqat hay,
ulat day jo naqaab,
mausam-e-gul ke maathay pe bhi paseena aaye:dhimpak:
yahi husun waalon ki aadat buri hay,
mohabbat hay lab pe, baghal main churri hay.. ![]()
share your experiences of the kisses ![]()