**Bohot masroof rehtay ho…
Subha say shaam honay tak…
Koi lamha nahee’n milta…
Koi bay-naam si fursat…
Koi gum-naam si seerat…
Kabhi baithay hoey tanha…
Kahee’n jo shaam ho jaaey…
To mairi iltija hay yeh…
Koi lamha chura laina…
Jo mairay naam ho jaaey…!!!***