**
os ko juda huye bhi, zamanaa bahot hua ..
ab kia kahain ye qissa, purana bahot hua ..
Dhalti na thi, kisi bhi jatan se shab-e-firaaq ..
ai marg-e-naagahaan, tera aanaa bahot hua ..
ham Khuld se, nikal to gaye hain par ai khuda ..
itney se waaqiye ka, fasaana bahot hua ..
ab ham hain aur, saare zamaane ki dushmaani ..
us se zara, rabt barhaana bahot hua ..
ab kiyon na, zindagi pe muhabbat ko waar dain ..
is aashiqi main, jaan se jaanaa bahot hua ..
ab tak to, dil ka dil se taarruf na ho sakaa ..
maanaa ki us se milna, milaanaa bahot hua ..
kia kia na ham Kharaab huye hain, magar ye dil ..
aai yaad-e-yaar tera, thikaanaa bahot hua ..
kehta tha naasehoon se, mere moonh na aa’iyo ..
phir kia thaa ek hoo kaa, bahaana bahot hua ..
lo phir tere labon pe, usi bewafa ka zikr ..
ahmad ‘Faraz’ tujh se kaha na!!, bahot hua ..
by
Faraz Sahab
I am like an Open Book Except for the few pages of my past, My life is an empty book. It takes the shape of a mystery, To me it does at least. For I cannot tell what happens next, Too many cliffhangers and too much suspense. But its clues all lead eventually to the same place, Unfortunately it does not say where. It only says get the next book, For in this one you’ ve ran out of room.