Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa

Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa khaali makaanoN meiN
bujhey tukRey paRey heiN cigarette key raakh daanoN meiN

dhuweN sey aasmaaN kaa rang mailaa hotaa jaataa hai
harey jungle badaltey jaa rahey heiN kaarkhaanoN meiN

bhali lagti hai aankhoN kou naye phooloN ki rangat
puraaney zamzamey bhi goonjtey rehtey heiN kaanoN meiN

wohi gulshan hai lakin waqt ki parwaaz tou dekho
koi taair (parinda) nahiN pichley baras key aashiyaanoN meiN

zubaaN par ulajhtey dostoN kou koun samjhaaye
mohabbat ki zubaaN mumtaaz hai saari zubaanoN meiN

(Ahmed Mushtaaq)

Re: Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa

wohi gulshan hai lakin waqt ki parwaaz tou dekho
koi taair (parinda) nahiN pichley baras key aashiyaanoN meiN

hamen pata hai taair parinde ko kehte hain :snooty:

PS: nice sharing :k:

Re: Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa

Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa khaali makaanoN meiN
bujhey tukRey paRey heiN cigarette key raakh daanoN meiN

yeh makaan charsion ka to nahin

Re: Bohat ruk ruk key chalti hai hawaa

Bohat Umdah…:k: