Bohat roya woh hum ko yaad ker kay
Hamari zindagi berbad ker kay
Palat ker phir yehin aa jain gay hum
Woh dekhey to humein azzad ker kay
Rehai ke koi surat nahin hai
Muger haan minet-e-siyaad ker kay
Badan mera choa tha us ney leykin
Gaya hey rooh ko abad ker kay
Her amer tool dena chaheta hai
Muqerar zulm ki miyaad ker kay
PARVEEN SHAKIR