Bohat Mumkin Tha...!!

http://i43.tinypic.com/2wn5saw.jpg

**Bohat Mumkin tha

Mere paon meri zeest k kantey
nikal jate

Bohat mumkin tha

Meri raah k pathar pighal jatey

Jo diwarein mere rastey mein hayel thi
mere agey se hat jati

Agar tum ankh utha kar dekh letey
kohsaron ki taraf aik pal

Chatanein ik tumhari junbsh-e-abru se kat jati

Bohat mumkin tha

Angaron bhari is zindagi mein
tumhare paon k ujley kanwal khiltey

Rafaqat ki sunehri jheel mein
dono k aks-e-zulfishan hiltey

Bus ik khwab -e- musalsal ki fiza rehti

Hamari rooh hum se kab khafa reti?

Ye sab kuch ain mumkin tha

Agar tum mujh ko mil jatey!!!**

Re: Bohat Mumkin Tha…!!

Can’t see anything except a blue question mark:bummer:

Re: Bohat Mumkin Tha…!!

Mery Pass to show ho raha hy,
Page ReFresh kr lo Ya ye link new tab mein open kro

Bohat MumKin Tha…!!

Re: Bohat Mumkin Tha…!!

I can see it now but ab I need it to be romanized:hinna:

Re: Bohat Mumkin Tha…!!

Ye sab kuch ain mumkin tha
Agar tum mujh ko mil jatey!!!
:hinna:

simply awesome :lajawab:

Re: Bohat Mumkin Tha…!!

u kay mutalibaat barhtay chalay jatay hain :emmy:

Re: Bohat Mumkin Tha...!!

nice