Hijr ke pyaas mein katra bhi bohat hota hai
Deed kay waastay lamha bhi bohat hota hai
Jin kay milnay ke nahein door talak kuch umeed
Un kay khoo janay ka khadshaa bhi bohat hota hai
Tum agar paas nahein ho to koi baat nahein
Sirf ehsaas ka dhooka bhi bohat hota hai
Jin pay hota hai bohat maan, bohat gehrra maan
woh badal jaain to sadma bhi bohat hota hai
Aur phir khud he palat aata hon mein rastay say
Warna chalnay ka irada bhi bohat hota hai
Paas hota hai to chuunay nahein dayta khud ko
Door ho jaoon to shikwa bhi bohat hota hai
Jin kay khoojanay pay khoojatay hein sab hosh o hawas
Un kay miljanay ka nasha bhi bohat hota hai
Ab koi aur talab dil mein nahein hai wasiq
AB terey yaad ka haala bhi bohat hota hai
hummay tum say pyar kitna :)yae hum nahe jantay:)