Kitab-e-maazi ko may nay khola
Bohat say chehray nazar say guzray
Bohat say naamon pe dil paseeja
Ek aisa safha bhi us may aya
K jis ka unwaan 'humsafar' tha
Jo aansuoun say likha hua tha
Woh safha sab say hi mutaber tha
Kuch aur aansoon bhi us pay tapkay
Phir us say agay may parh na paya
Kitab-e-maazi ko band kar kay
Tumhari yaadon may kho gaya main
Jo tum hi miltay to kaisa hota
Inhi khayalon may so gaya main
Bohat hee muddat k baad kal shab
Kitab-e-maazi ko may nay khola...~~~
Beautiful :) Thanks for sharing XCom
Xcellent :k::k::k:
bhut khoob:k:
:k:
Nice :k:
beautiful :k:
goodie :k:
Re: Bohat hi muddat …
wowww zaberdastt :k:
Nice.....
nice:):k: