Bohat Gumaan Tha Mausam Shanaas Hone Ka,
Wohi Bahaana Bana Hai Udaas Hone Ka…
Badan Ko Ghair Liya Zakhm Ke Gulaabon Se,
Tou Shauq Poora Huwa Khush’libaas Hone Ka…
Fiza Mehekne Lagi, Roshni Jhalakne Lagi,
Tou Yeh Nishaan Hai Tere Aas Paas Hone Ka…
Gulon Ke Beech Woh Chehra Khila Tou Har Titlee
Tamaasha Kerne Lagi, Bad’hawaas Hone Lagi…
Usay Bhi Shauq Tha Be’wajeh Dil Dukkhaane Ka,
So Humne Khail Rachaaya Udaas Hone Ka…
Naye Safar Pe Rawaana Tou Hum Bhi Ho Jaate,
Bas Intezaar Tha Mausam Ke Raas Hone Ka…