Bohat Dinon ki Baat thi

**
Bohat dino ki baat thi

Bohat dino ki baat thi
Bohat dino ki baat thi,…!
Shabab per bahar thi,…!
Fiza bhi khushgawar thi,…!
Na jaane kioun machal para,…!
Main apne ghar se chal para,…!
Kisi ne mujh ko rok ker,…!
Bari aada se tok ker,…!
Kaha ke laut ayyee,…!
Meri qasam na jayyee,…!
Meri qasam na jayyee,…!
Magar mujhe khabar na thi,…!
Mahaul per nazar na thi,…!
Ma janey kioun machal para,…!
Main apney ghar se chal para,…!
Mhir shehar se main aa gaya,…!
Khayal tha ke paa gaya,…!
Usey jo mujh se durr thi,…!
Magar meri zaroor thi,…!
Phir ik haseen shaam ko,…!
Main chal para salam ko,…!
Gali ka rang dekh ker,…!
Naye tarang dekh ker,…!
Mujhe bari khushi hui,…!
Mujhe bari khusshi hui,…!
**

humm

one of my fav song:k:
thanx for hsaring:)

Very nice...

bahut khoob!

nice :)

bouhat khoob

Nice...
Thank you for sharing...
ThoRay say words idher udher hain. bas :)

nice:k:

one of my favourites......
thanx for sharing...

[QUOTE]
*Originally posted by WiseGuy: *
Nice...
Thank you for sharing...
ThoRay say words idher udher hain. bas :)
[/QUOTE]

Actually my brother wrote it so Don't know,its his mistake

Wah :)

Nice... but not a complete version ... Can I complete it ?

Bahut dinoo ki baat hai

Bahut dinoo ki baat hai
Fizaa ko yaad bhi nahee
Yeh baat aaj ki nahee
Bahut dinoo ki baat hai

Shabaab per bahaar thee
Fizaa bhi khush gawaar thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Kisi ne mujh ko rok kar
Barri adaa se tok kar
Kahaa tha laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay

Per mujhe khabar na thee
Maahaul per nazar na thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Mein shehar se phir aagaya
Khayal thaa ke paa gaya
Ussay jo mujh se door thee
Magar meri zaroor thee

Aur ek haseen shaam ko
Main chal para salaam ko
Gali ka rang dekh kar
Naee tarang dekh kar
Mujhe bari khushi huwi
Main kuch issi khushi mein thaa
Kisi ne jhaank kar kaha
Paraaey ghar se jaaeyay
Meri qasam na aaeyay

Wohi haseen shaam hai
Bahaar jis ka naam hai
Chalaa hoon ghar ko chor kar
Na jane jaaonga kidhar
Koi nahee jo rok kar
Koi nahee jo tok kar
Kahay ke laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay

Meri Qasam Na Jaaeyay...

Thanx A ..... :D