Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

**Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

Na Hanstay Ho, Na Sanwartay Ho

Na Koii Baat Kartay Ho

Bhari Mehfil Main Bhi Aksar

Humaysha Khoye Rehtay Ho

Udaasi Aankhon Main Lay Kar

Har Ak Chehray Ko Taktay Rehtay Ho

Koii Jab Yaad Aata Hay

Tu Thandi Aahain Bhartay Ho

Tu Khul Kar Kyun Nahi Kehtay

Kise Say Pyaar Kartay Ho

Kahin Dil Chorr Aaye Ho**

Re: Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

500 rupe ka note gir jae to bhi banda aisa ho jata hai.. khwamakhah main muhabbt ko beech main lana zaroori hai?

Re: Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

Aapny to Sha`ir ki Bisti Kharab krdi…:hayaa: :omg:

Re: Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

mere mobile ko kuch ho jaaye tou aise he hoga :(

500 aaj kal bache bhi nahi lete.

Re: Bohat Chup Chaap Say Rehtay Ho

:k: