Bint E Aadam's Diary

Salam-o-Alaykum

**
Bay Pardagi Ko Husun,Or Hijab Ko Tamasha Samjhtay Hain**

Sath Pardon May Rehnay Walion Ko Haqir-e-Zamana Samjhtay Hain

Kam Kapron Ko Fashion Ka Nam Day Diya Hum Nay

Dhakay Howay Rup Ko Bay Qadari Ka Sama Samjhtay Hain

Kiyun Bhul Gay Hum Apni Pak BiBiyon Ko

Parh Gay Hum Ghaflat May Bhula Kay Apni Zenat Ko

Kab Samjho Gay Is Duniya Ki Sachai Ko

Bay Aabru Jo Khud Ko Karo Gay To Kuch Hasil Na Kar Paoo Gay

Ab B Sooch Lo Parday Ka Maqam uncha Hai

Aurat Ki Qadar Tab Hai Jab Sar Say Aanchal Dhaka Hai

KHUDA Humain Ya Hukum Aata Farmatay Hain

Aurat Kay Roop May Pakeezgi Ko Nazil Farmatay Hain

Dhaki Ho Jab Aurat Apnay Aanchal Kay Gird

Rehti Hai Panha Main Apnay Raab Ki Rehmat Main

Chupa Kay Rakho Khud Ko Kay Neemat Hai Ya Aanchal

Mili Hai Tujh Ko Izzat Apnay Parwardigar Say

Mehfooz Rakhna Khud Ko Is Haiwaniyat Kay Jahan Say

Kiyun Kay Andharay May B Apna Saya Kabhi Sath nahi dahta hay.


Re: Bint E Aadam's Diary

**Sochtey rehnay ki aadat hogayi
chaunktey rehnay ki aadat hogayi
hijr ki raatoun k sung aankhoun ko bhi
jaagtey rehnay ki aadat hogayi
jaaney kia dur hayk apnay aap say
bhaagtey rehnay ki aadat hogayi
woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi
woh meray andar chupa hay or usay
boltey rehnay ki aadat hogayi~!!

Farhat Abbas Shah.**

Re: Bint E Aadam's Diary

**ABHI KUCH PUL HAMAREY HAATH MAIN HAIN

Abhi kuch pul hamarey haath main hain
koan jaaney
konsa lamha hamarey haath say phisley, girey
or paoon ki zanjeer hojayey
abhi yeh din jo lagta hay k hum ik doosrey k saath
reh saktey hain pal do pal
najaaney kub kahan deewaar bun jayain
abhi do chaar saansain buch rahi hain
yeh to jhaunka hain
kisey maloom kis aahistagi say yoon guzar jayay
k hum daryaoun k do mukhtalif na'aashna goongey kinaaroun par
kharey
ik doosrey ki shakal takney ko taras jayain
meri awaaz teri yaad main zinda hou bus
or main teri tasweer aankhoun main liyey rona chupaoon
shehar waaloun say
abhi kuch pul hamarey haath main hain
hum jo chahain gain to kuch kum kum bhi mil lain gain
magar jaaney kahan.... ?
kub... ?
konsa lamha....?

FARHAT ABBAS SHAH
**

Re: Bint E Aadam's Diary

**SHIDDATAIN

Bey tahasha hay tujhay yaad kia
or bhulaaya bhi bohat hay tujh ko
saari raunaq hee teray dum say hay
or teray bikhrey huay gham say hay

jis qadar
main nay talluq tera mehsoos kia
itni gehraayi tou roohoun main hua karti hay
jis qadar
main nay teri zaat ko khud main paaya

itni yaqtaayi kahan milti hay
faasley wuq'atain kho baithey hain
dooriyaan pheeki parheen
itni shiddat say tujhay socha hay
itni shiddat say tujhay chaha hay
shiddatain ishq ki mairaaj hua karti hain!!**

Re: Bint E Aadam's Diary

**main ne dekhaa diivaanoun ko shaam ke baad
Dhuundh rahe the viiraanoun ko shaam ke baad

taariikii phir saare aib chhupaa legii
le aanaa ghar mahamaanoun ko shaam ke baad

main ne us kaa sog manayaa kuchh aisaa
Khaalii rakhaa paimaanoun ko shaam ke baad

yaad kare jab mujh ko terii tanhaaii
dekhaa karanaa guldaanoun ko shaam ke baad

"Farhat" chaand ke khauf se kar letaa huun band
kamare ke raushandaanoun ko shaam ke baad !!**

Re: Bint E Aadam's Diary

**Tum jo hote tu hamien kitna sahara hota
Hum ne auroun ko na youn dukh mein pokara hota

Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

Mujh ko yeh soch hi kafi hai jalane k liye
main nahota tu koi aur tumhara hota

Aur hum baith k khamoshi se roye jate
Sham hoti kisi darya ka kinara hota

Dil se dekhi nahi jati thi khamoshi ghar ki
kis tarha ojdha hoa shehar gawara hota

Chand hota k meri Jaan sitara hota
Hum ne ik tere siwa dil se otara hota

Tu ne socha hai kabhi kitna mohabat k baghair
Rooh farsaa dil-e-viraan ka nazara hota **

Re: Bint E Aadam's Diary

**Udaas shaamain, ujaarh rastey kabhi bulayain tou laut aana
kisi ki aankhoun main ratjagoun k azaab aayain tou laut aana

abhi nayi waadiyoun main, nayey manzaroun main reh lo magar meri jaan
yeh saarey ik ik kar k jub tum ko chorh jaayain tou laut aana

main rouz yoonhi hawa pay likh likh kar uski jaanib yeh bhaijta hoon
k achey mausam agar pahaarhoun pay muskuraayain tou laut aana

agar andhairoun main chorh kar tum ko bhool jayain tumhaarey saathi
or apni khaatir hee apney diyey jalaayain tou laut aana

meri woh baatain jin pay bey ikhtiyaar hunsta tha khilkhila kar
bicharhney waaley meri woh baatain kabhi rulaayain tou laut aana !!

FARHAT ABBAS SHAH**

Re: Bint E Aadam's Diary

Dareechay Se Jhankti Vo Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hui Hay

K Uss k Aangan Mein Phool Par Ik Neeli Titli Mari Hui Hay

Kabhi Azanoo Mein Khoyi Khoyi,Kabhi Namazoo Mein Royi Royi

Wo Aisy Dunya Ko Dekhti Hay k Jaisy Iss Se Dari Hui Hay

Baray Zamanoon k Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir

*Baray Zamanoon k Bad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hui Hay... *

Re: Bint E Aadam's Diary

*mujhe aur kahin le chal saanwal *

jahan raat kabhi bhi soyi na ho
**
jahan subah kisi pe royi na ho

jahan hijer ne wehshat boyi na ho

jahan koi ksi ki khoyi na ho
**

*mujhe aur kahin le chal saanwal! *

jahan shehar hon saare weerane
**
jahan log sabhi hon begaane

jahan sab ke sab hon deewane

jahan koi humain na pehchane
**

*mujhe aur kahin le chal saanwal ! *

jahan nafrat dil main bas na sake
**
jahan koi kisi ko dass na sake

jahan koi kisi pe hans na sake

jahan koi bhi gunjal kass na sake
**

*mujhe aur kahin le chal saanwal! *

*jahan dard kisi ko raas na ho *
**
jahan koi malool udaas na ho

jahan zulmat ki boo baas na ho

jahan tu bhi ziada paas na ho **

mujhe aur kahin le chal saanwal !

*Baqi insha Allah ainda *

TC

*fi aman Allah *

*{jaldi jaldi sharing is liye ki k 25 post complete ekrna thi na actually na *

aham aham :d smajh jayein :d


25 post to abhee bhe complete nahee your tally is still 22................inna sara post karanay key bajaiy agar app logon key post key howi poems pay 2 lafzi reply kartii tu 125 post bhee complete ho jatay iss say kum time may:)

P.S Nice shairing

salam-o-alaykum

Aap Tanz k teer mat chalaiye acha na :) khair shukriya

oh ooooo muddi g bari patay de gul dasi tusi g :)

Dareechay Se Jhankti Vo Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hui Hay

K Uss k Aangan Mein Phool Par Ik Neeli Titli Mari Hui Hay

Kabhi Azanoo Mein Khoyi Khoyi,Kabhi Namazoo Mein Royi Royi

Wo Aisy Dunya Ko Dekhti Hay k Jaisy Iss Se Dari Hui Hay

Baray Zamanoon k Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir

*Baray Zamanoon k Bad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hui Hay... *

2 gud

Re: Bint E Aadam’s Diary

Wsalam ! Welcome on the Gs :bb: njoy ur stay !

Itni be-reham aur sifaak poetry kUch haath halka rakhein :stuck_out_tongue:

Re: Bint E Aadam's Diary

nice sharings.. :)

welcome to the poetry section..

Re: Bint E Aadam's Diary

**
[QUOTE]
Bay Pardagi Ko Husun,Or Hijab Ko Tamasha Samjhtay Hain

Sath Pardon May Rehnay Walion Ko Haqir-e-Zamana Samjhtay Hain
[/QUOTE]



**

[QUOTE]
woh nahin lautey gaa phir kiyoon rehguzaar
daikhtey rehnay ki aadat hogayi
[/QUOTE]

[QUOTE]
Farhat" chaand ke khauf se kar letaa huun band
kamare ke raushandaanoun ko shaam ke baad !!<!-- / message -->

[/QUOTE]

[QUOTE]

Jitni siddat se main wabasta tha tum se Farhat
Kis tarha mera tere baad guzara hota...........!

[/QUOTE]

[QUOTE]
abhi nayi waadiyoun main, nayey manzaroun main reh lo magar meri jaan
yeh saarey ik ik kar k jub tum ko chorh jaayain tou laut aana

[/QUOTE]

[QUOTE]

Dareechay Se Jhankti Vo Larki Ajeeb Dukh Se Bhari Hui Hay

K Uss k Aangan Mein Phool Par Ik Neeli Titli Mari Hui Hay

Kabhi Azanoo Mein Khoyi Khoyi,Kabhi Namazoo Mein Royi Royi

Wo Aisy Dunya Ko Dekhti Hay k Jaisy Iss Se Dari Hui Hay

Baray Zamanoon k Bad Barsi Hay Meri Aankhein Kisi Ki Khatir

Baray Zamanoon k Bad Dil Ki Zameen Phir Se Hari Hui Hay

[/QUOTE]

jo dil main uter gayee :K:
**

Re: Bint E Aadam's Diary

nice sharing....

wesay muddi ny tanz nahi kiyaa thaa, kaam ki baat batai thi...