Saath us say mein churhaaoun kaisay
Haal e dil upnay mein sunaaoun kaisay
Kitnay zamanay beet gaey per tera saath na chuta
kitnay zakhm bhar gaey per tera saya na toota
aik kay baad aik dar per aa khara ho jata hai tu meray
tera wajood mujhay bana dayta hai jaisay bin been kay saparay
Kahan say dhoondoun koi chaaoun mein
kahan say laaoun do pal ka sukh…
aakhir kub tak teri haqeeqat say bhaagti rahoun gi mein
tu he to hai jis ko kehtay haen sab “dukh” !!!
Original author korn666