Logo zara haath haula rkhna, kaafi puraani likhi huee aik cheez hai yeh..
humaaray aur tumhaaray beech yeh kaisa rishta hai
tumhaaray saath hur din aik lamha saa lagta hai
tum tu chalay jaatay ho apni khushboo chor ker
mere saath kee hur cheez se yon mor ker
ke phir mujhko yeh dil dukhta saa lagta hai
phir milain gay, yeh kehtay ho guzar jaatay ho
tumhain kya pata humain tum kitna sataatay ho
ke hum ko phir andar kaheen kuch toot ta saa lagta hai
do ghari baitho, kuch apni kaho kuch meri suno
hum batayain gay tumhian yaad kiya itnay dinon
per shayd tumhain yeh zikr hee bura saa lagta hai