Bila unwaan!(tehreer)

Lafz Mohabbat se aaghaz karta hoon to kuch likha nahi jaata
ehsaas ko lafzon main dhaalna bohat muskil hai bohat muskil
kabhi ye teez behtay huay darya ki tarah kabhi ye ruki hawa
ki tarah bilkul saakit kabhi wafaaon ki aakhri sarhadoon ko chuuti
hui kabhi jafaaon ki gard main lipti hui kabhi haseen nazaaron ki
tarah kabhi anjaan sehraa’on ki tarah kabhi peepal ki thandi chaaon
ki tarah kabhi kabhi jalaati dhoop ki tarah kabhi khaamosh si kabhi
sawaal karti hui kabhi machalti hui kabhi tarapti hui kabhi hansti to
kabhi roti hui kabhi adhoori si kabhi mukamal ye sab baab hain mohabbat
k vasl aur judai ki jageerain hain ye sab ehsaasaat koi na inko rook saka hi
na rook sakay ga!


bEiNg LoNeLy