Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

**Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun **
**Jo tu nahee hai to phir tera intezaar bhi kiun **

**Akelepan ka safar jab mera muqaddar hai **
**To phir ai waada shikan teri rehguzaar bhi kiun **

**Usey ganwa ke raho ab khizaon ki zad mai **
**Jo wo nahee hai to phir mausam-e-bahar bhi kiun **

**Agar bhulaye huye usko aik umr hui **
**To phir yeh aaj tabiyet hai sogwaar bhi kiun **

**Wo jin labon pe yaqeene wafa mehek na sakey **
**Phir unke lams ki khahish ho aik baar bhi kiun **

**Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka **
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun


Noshi Gilani

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Jab usko shauq tha raston ki dhool honey ka
Palat ke dekhta jaata tha baar baar bhi kiun

Wah wah....................
zbardust Intekhaab..............
:)

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Buhat Khoob.. :)

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Thanks soniaa_jee **& **redidentity :)

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

:)

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

bohot zaberdast :k:

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Niceeee :k:

Re: Bila jawaz rakhen khud ko beqaraar bhi kiun

Beautiful sharing ocean :)