**bikher rahi hay meri zaat … usay keh dena …
Kahein milay wo to ye baat..
usay keh dena!
usay kehna k bina us k din nahi katta
Sisak k katti hay her raat …
usay keh dena!
Woh saath tha to zamana tha humsfar mera..
Mgr ab koi nahi saath
usay keh dena !
Woh jis ko sun k palat aaye meri duniya mein,
Hawaaon… aisi koi baat
usay keh dena!
ager woh phir bhi naa loutay ,to mehrbaan Qasid …
Hamaari zeest k halaat ..
usay keh dena!
Her aik jeet us k naam kar rahi hoon main
main manti hoon apni maat…
usay keh dena!
usay pukaaron yaa khud pohunch jaaon us k paas..
rahay hain bas mein kab halaat
usay keh dena!
Baras baras k nigahein bhe ho gayein pathar,
Pari hay gham ki ajab raat ..
usay keh dena!
wo sath tha to ..zamana tha humsafar mera
hain ab tu khaali mere haath …
usay keh dena !**