**Bikhar rahi hai meri zaat osey keh dena,
Kahein mile woh toh yeh baat osey keh dena,
Osey kehna keh bin aus ke din kat-taa nahi,
Sisak ke kat-ti hai har raat ausey keh dena,
Woh saath tha to zamana tha hamsfar mera,
Magar ab koi nahi saath ausey keh dena,
Ga’wa ke pyaar mein ham toh khud ko hi mita gaye,
Kare hain ishq ke lamhaat osey keh dena,
Woh jis ko sun ke palat aaye meri duniya mein,
Hawaao aise koi baat ausey keh dena,
Agar woh phir bhi naa loute tu mehrbaan zindaghee
Hamaari zeest ke halaat osey keh dena,
Har aik jeet os ke naam kar rahe hoon main,
Main mantee hoon apni maat osey keh dena,
Osey pukaaron yaa khud puhanch jaaon os ke paas,
Rahe bas mein kab yeh halaat osey keh dena,
Baras baras ke nigahein bhi ho gayein hain pathar,
Pari hai gham ki ajab raat osey keh dena,
Woh din kaha keh zamaane ki khushiya hoo merae pas,
Hain ab tu khaali hai mere haath osey keh dena
**