bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaan

bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa

mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa

dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n “Makhmoor” ek din hai isii aavaaz par jaanaa

humm

Re: bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaan

[QUOTE]
*Originally posted by ghazal kisi ke: *

bikharate TuuTate lamho.n ko apanaa ham_safar jaanaa
thaa is raah me.n aaKhir hame.n Khud bhii bikhar jaanaa

havaa ke dosh par baadal ke Tuka.De kii tarah ham hai.n
kisii jho.nke se puuchhe.nge ki hai ham ko kidhar jaanaa

mere jalate hue ghar kii nishaanii bas yahii hogii
jahaa.N is shahar me.n raushanii dekho Thahar jaanaa

pas-e-zulmat ko_ii suuraj hamaaraa muntazir hogaa
isii ek vaham ko ham ne chiraaG-e-rah_guzar jaanaa

dayaar-e-Khaamashii se ko_ii rah-rah kar bulaataa hai
hame.n "Makhmoor" ek din hai isii aavaaz par jaanaa


[/QUOTE]

Wo Unka dekh kar, MooN phairna phi dil lubhata hai.
Mera Dil saath laikay ja raha hai, unka guzar jana

Meray Pehloo MaiN gar wo baith jayiN, sirf ik pal ko
HazaroN Khwab DaikhoN, Lutf Ho Unka Bikhar Jana
By = Black Mamba

(I wanted to complete it but, too many people in msn right now cant concentrate on peotry) SORRY

bohat khoob

GKK its beautifulllllllllllllllllll,ty for sharing jaanu.:kiss: :flower1:

Wonderful …:k:

Each and every word is beautiful....

Apna hamsafar jana.... kiya baat hai

Magar kisin nay hum ko hamsafar nahi jana
Ya baat aur hai ka hum sath sath sub kay gaya

amirbilal, queen appi, Amarbail and dilsay thanks a lot for liking:flower1:

Azad---------thanks for ur ‘hummm’:hoonh:

Black Mamba-----------humm niceeee:k:
and u can complete it later:)

Humm .. koi baat nahi