Re: Bidah’s
“tamaam bid’aat gumraahii haiN aur har gumraahii jahannam ke raaste par le jaatii haiN”
yeh ek Hadees kaa maf’hoom hai
dunyaavii aur deenivii alag alag cheezeN haiN aur inko aapas meN Ghalat malat karnaa bhii ek gumraahii hai.
bid’at kii ta’reef:
**"deen meN aisaa koii nayaa kaam karnaa jiskii sanad Qur’aan aur aHaadees se na miltii ho yaa/aur jisko SaHaba e karaam, taabe’iin yaa tab’a ta’beiin ne na kiyaa ho
AUR
jise deen kaa kaam samajh kar kiyaa jaaye aur jisse sawaab kii ummeed rakkhii jaaye yaa jiske karne se sawaab aur na karne se gunaah kaa yaqeen ho aur jannat kii Husooli kaa zar’iiya samjhaa jaaye"
**aise kul naye kaam bid’at kii zumur meN aate haiN…
faisala aap Khud kareN!
Do you know that Saudi Arabia announces Ramadan and Eid years before without sighting the moon, and more than half the world follows them. So what can we be said about this? Isnt this Bidah?