~*~ Bichray huwe logoon ki .. Ek ek baat rula deti hai ~*~

*Bichray huwe logoon ki ek ek baat rula deti hai
Hum ko tau har jaane wali raat rula deti hai

Waise tau hum dil ke bare hi pakkay hain har gham mein
woh tau kabhi kabhi yunhi barsaat rula deti hai

Jaise pathar kar deti hai baaz auqaat khushi bhi
Jaise baaz auqaat koi baraat rula deti hai

Jinhon ne haar kabhi nahe dekhi hoti hai jewan bhar
Aisoon ko tau choti si ek maat rula deti hai

Ghamon se tau kuch aur bhi barh jata hai zabt hamara
Haan albatta khushiyoon ki bohtaat rula deti hai …

Re: ~~ Bichray huwe logoon ki .. Ek ek baat rula deti hai ~~

wah kiya baat hey
very nice

Re: ~~ Bichray huwe logoon ki .. Ek ek baat rula deti hai ~~

wah kiya khoob.

Re: ~~ Bichray huwe logoon ki .. Ek ek baat rula deti hai ~~

really nyc ...