Bichhar ke tujh se yehi khud ko saza di maine,
Teri talash mein ek umar bitta di maine …
Tujhe jo dil se nikala to youn laga jaise,
Apne andar ki koi dewaar gira di maine …
Dil ke sheeshe pe jahan teri yaad basti thi,
Ab wahan waqt ki dhool jama di maine …
Apne andar se bohut bar, suna hai, main yahan hon,
Tu kahan hai, tu kahan hai, ki jab bhi sada di maine
Usko achanak jo khoya to yun laga jaise,
Zindgi aik hi lamhey mein ganwa di maine …